Wednesday 1 July 2015

Kya Pata

bay namazi bhe agar namaz ki baat karay toh ussay karnay doh
haram khanay wala agar halal ki baat karay toh ussay karnay doh
uss ka ye kehna bhee uss k emaan k zinda honay ki daleel ho sakti hai
kya pata, uss ki apni kahi huee baat he uski hidayat ka zariya bun jaye
usss k apnay kahay huay alfaaz he ussay haya dila dain
hum kon hotay hain us ka faisla karnay walay, uska mazaaq uranay walay,
ye na ho k iss mazaq k darr sai woh haq ki baat 'kehnay' sai bhee jaye
woh khud sai mukammal na umeed ho jaye
aik chota se awaz jo ussay kehti thi k tum badal saktay ho, raasta mushkil lagta hai magar tum chal saktay ho, woh bhee chup ho jaye
ye khushfehmi k mai badla toh bohat hain jo mera haath thaamain gai, mujhay himmat aur hausla dain gai, ye bhe khatum ho jaye
kya pata woh rozz khud sai kitna larta ho, kitni dafa haarta ho, khud sai mayuus hota ho, phir umeed ki himmat karta ho aur humara zara sa tanz, taana, ussay ye paighaam dai k tumharay liyay hidayat k darwazay bund ho gaay, tumhari 'munafiqat' yahan nahe chalay ge,, tum mai humari wala baat kahan, tum kya jano kya kya qurbani deni parti hai iss parsai k liyay, hum sai poocho
aur tum namaz aur hajj ki baat kartay ho....kehna bohat asaan hai bhyee, per mehez kehnay sai baat nahe bunti, ye toh hum hain jo jihad kartay hain.....!!!!!

dil mai dusroon k liyay achi sooch rakho, kya pata tum he uski hidayat ka zariya bun jao.......


2 comments:

  1. Hum tau dil mein logon k liay acha khayal/soch rakhain per zaruri Nahi keh Wohi log aap se baat tak kerna pasand kertay hon.

    ReplyDelete
  2. you are right but we can only do our part, cant control others :) do it all with dignity i guess

    ReplyDelete