Friday 8 January 2016

zara thehro mai aati hoon.....

( this is just meant as a reminder of what we moms should really value and cherish......time with our kids, memories that will build their personality, bond that can give them faith, belief and confidence in themselves)


(BETI) ami idher aa aain zara
mai dekhain kya banati huun
ye kashti hai ya patta hai
mai kaisa yeh banati huun
zara thehro mai aati hoon
zara thehro mai aati hoon

bohat sai kaam hain mujh ko
bohat kuch mujh ko karna hai
abhe khana banana hai
phir ghar ko theek karna hai

chalain per yeh toh daikhain na
k kaisay urr rahi hoon mai
pari si kya na lagti hoon
ya titli si bhalli hoon mai

zara thehro mai aati hoon
abhe bazaar jana hai
mujhay sauda bhee lana hai
jo kapray diyay thay dhobee k
unhain bhee lai k ana hai

bohat sai kar liyay abb kaam
chalain aab khailtay hain hum
mai chupti huun,mujhay dhuundna
yeh mil kar khailtay hain hum


bhala mai farigh baithii huun
na mujh ko hai koi bhee kaam
din dhalnay ko aaya hai
lo dekho ho rahe hai shaam

bus ho gayay bohat tamashay
perhai kar k so jao
mai bhe thakk gyee bohat
mujhay na aur sataao

(8 years later)

(MAA) beta idher aao zara
aao mil k baithtay hain hum
kahan hoti ho sara din
hum miltay hain bohat he kum

zara thehrain mai aati hoon
bohat sai kaam hain mujh ko
bohat kuch mujh ko karna hai
assignments hain due meri
phir friend ko phone karna hai

zara thehrain mai aati hoon
zara thehrain mai aati hoon